Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Tuesday, July 1, 2025

kya mujhe chhodkar sab chale jayenge

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ haye amma are suno amma are aap se mai bayan dil ka haal karunga dil me uthta hai jo ik sawal karu ๐Ÿ•Š️

qaid se jab rihayi haram payenge 
kya meri qabr par fir nahi aayenge
sirf ranjo alam mujhko tadpayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


qaid se jab rihayi haram payenge

kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


kya isi qaid me ghut ke mar jaungi

kya mai do gaz kafan bhi nahi paungi

maile kurte me kya mujhko dafnayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


sar se paon talak mai lahu me hun tar

mera zakhmo bhara pairahan dekhkar

sirf zalim nahi zulm pachtayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


sham wale karenge abhi kuch sitam

mujhko khaye chala ja raha hai ye gam

ye meri qabr par shimr ko layenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


dekhkar zakhm baba ke ghabrai mai

hashr me baap ke paas jab aayi mai

dekhkar mujhko baba bhi ghabrayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


Karbala hai kahan aur kahan sham hai

na mujhe chain na unko aaram hai

wo mujhe Karbala roz bulwayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


Karbala jake baba se ye pochhna

hashr me unse jab ho mera samna

kya mujhe apne sine se liptayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


khana sugra se apna chaman mil gaya

ho mubarak tumhe to watan mil gaya

hashr tak ham musafir hi kahlayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge


sham me hi meri sham ho jayegi

ye kahani agar aam ho jayegi

baap beti se pyar kaise farmayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge




ham na fankar hai aur na ahle qalam
hai ye farhano shaukat pe unka karam
ham se shabbir nauha kahalwayenge


kya mujhe chhodkar sab chale jayenge