๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai ๐️
ho qatl maktal me baba koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
kis se pani ka shikwa karungi
umr bhar ab musibat sahungi
raas aa gaya ammu ko dariya
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
mar gaye ran me abbaso Akbar
ab na qasim rahe aur na asgar
ho gayi aaj se be sahara
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
loriyan de ke kis ko sulaun
kis ko apne gale se lagaun
mar gaya ran me asgar bhi mera
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
kaise baare masayab uthaun
dar ye hai mai kahi mar na jaaun
zindgi ne diya aisa tohfa
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
kya karu koi shikwa kisi se
ab to dharas hai bas aik fufi se
kon aayega dene dilasa
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
haye asgar bhi ran ko sidhara
ho gayi aaj se beta sahara
ab jhulaungi mai kisko jhoola
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
charo janib se ghere hai lashkar
lootne aa rahe hain sitamgar
aa gaya waqt be chadari ka
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye jab binte sarwar
karwaten le rahe the bahattar
kya nahi ko mera sahara
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai
raas aaya nahi qaid khana
mar gayi kahte kahte sakina
koi mera sahara nahi hai
kah rahi thi ye bali sakina koi mera sahara nahi hai