Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Sunday, July 20, 2025

Behan Mein saath saath hun

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Shareek e karbala behan Meri Musafira Behan๐Ÿ•Š️

Rasan mein bandh chukka gala
lo chal para wo Qafila
Behan ghareeb Nouha gar
sina pe jab parhi nazar
khamosh the shaheed sab
Akhi ke hil rahe the lab


Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Ghareeb e karbala behan
Diler e ba wafa behan
Ghamon ki alqama behan
Meri musafira behan
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Wafa e waada ho chuka
Sina talaq Mein aagaya
Mein apna kaam kar chuka
Meri shareek e karbala
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Ye Rassiyan ye bediyan
Qadam qadam pe sakhtiyan
Rida baghaer Bibiyaan
Bahan kada hai Imtehaan
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Agar hai Rasta kathin
Zara na dar Meri bahan
Tu Berida Mein bekafan
He waqt hosla shikan
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Qadam qadam shahadatein
Guzar gayin qayamatein
Abhi hain aur aafatein
Sambhal ab amaanatein
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Koi bhi ab nahin bacha
Bas Abide Shakista pa
Ye saarban e ghamzada
Girey jo kha ke ghash zara
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Bahan Thahar thahar yahin
Laraz rahi he kyun zameen
Sakina gir gai kahin
Na mil sake jo who hazeen
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Bohot qareeb shaam hai
Hujoome khaas o aam hai
Yazeed e bad kalaam hai
Ye waqt e inteqaam hai
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun

Ghareeb e Karbala bahan
Diler e ba wafa bahan
Gamon ki alqama bahan
Meri musafira bahan
Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun



Rehaan O Sarware aza
Jo sham pahuncha Qafila
Sar e Hussain a.s ne kaha
Ulat de takht shaam ka Tu hosla na haarna

Sina pe hoo'n to kya huwa
Tu hosla na haarna
Behan Mein saath saath hun