Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Wednesday, July 9, 2025

ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the ๐Ÿ•Š️

Kahan Teri Maiyat Uthany ke Din the
ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the




Wo Galian Jahan Tera Bachpadn Hai Guzra

Jahan Dekhty Hain Sabhi Tera Rasta

Wahin Laot ke Ab To Jany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the


Hai Bethi Hui Dar Py Beemar Sughra

Tujhy Leny Aunga, Tha Jis Se Waada

Behan Ko Watan Se Bulane ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the

Kahan Teri Maiyat Uthany ke Din the

ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the


Tujhy Naaz Sy Aisy Paala Phuphi Ny

Duaien Tujhy Di Hain Khud Zindagi Ny

Nigahon Mein Tujh Ko Basany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the


Shah E Deen ye Laashy Py Kehty Hain Ro Kar

Sakoon Kaisy Paie Bhala Qalb E Muztar

Sahara Tera Ab To Paany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the

Kahan Teri Maiyat Uthany ke Din the

ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the


Har Aik Subha Maadar Ne Jab Tujh Ko Dekha

Utari Nazar, Tera Sadqa Utara

ai Beta ye Mannat Barhany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the


Tarhapty Huye Keh Rahi Hai ye Maadar

Mery Nojawaan ai Mery Laal Akbar

Kalaijai Sy Tujh Ko Lagany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the




Tha Izhar Aur Shadman Gham Ka Manzar
Lipat Kar Jo Laashy Sy Kehti Thi Maadar
ye No Shah Tujh Ko Banany ke Din the


ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the
Kahan Teri Maiyat Uthany ke Din the
ai Akbar ye Sehra sajane ke Din the