Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Sunday, July 20, 2025

Abbas kehte hain Mujhe Abbas Kehte hain.

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Abbas meer e lashkaram ๐Ÿ•Š️

Abbas kehte hain Mujhe Abbas Kehte hain.




Mujhe Abbas kahte hain Mujhe Abbas Kehte hain.


Main Qamr e Bani hashim hoon sardar hoon main lashkar ka
Shabbir mera aqa hai Main beta hoon haider ka
Maslak mein wafadari hai Mansab me alamdari hai


Abbas kehte hain.


Zehra ne kaha hai behta hai saare arab me charcha
Shabbir ke dil ki taaqat Hoon chand bani hashim ka
Main karbobala ka haider Jibreel bacha le Shai Par


Abbas kehte hain


Woh Jaaho Hasham rakhta hoon Shaano Pe alam rakhta hoon
Lo rok sako to roko Darya mein qadam rakhta hoon
Main hashr bapa kar doonga sar tann se juda kar doonga


Abbas kehte hain


Mujhko bhi Imamat milti Tauqeer meri badh jaati
Pee leta jo Sheer e Zehra Kaunain me thi Sardaari.
Hoon apne padar ka saani Patthar se nichodu paani


Abbas kehte hain


Talwar hai mere baazu Hai mujhme wafa ki khushbu
Main dekh nahi sakta hoon Zainab ki nazar me aansu
Gar gaiz mein aakar dekhu paani me aag lagaa doon


Abbas kehte hain


Parcham yeh mere baba ka Taa hashr rahega ooncha
Khaibar mein mila baba ko Aur aaj hai maine paaya
Parcham na yeh jhuk paaega har daur me lehraaega


Abbas kehte hain


Bachcho ko tasalli dekar Main aaya hoon darya par
Bachcho ki aas na toote Bass ek dua hai lab par
Paani jo na pahuchaunga Khaimo me nahi jaaunga


Abbas kehte hain


Be izne waga aaya hoon Talwar nahi laaya hoon
Thokar mein hai mere paani Seh roz ka main pyaasa hoon
Behta hai lahoo beh jaaye bass naam e wafa reh jaaye


Abbas kehte hain


Jo teer bhi hai tarkash mein Pewast kar nas-nas mein
Par Mashk pe waar na karna Phir baat na hogi bass mein
Baazu bhi kata sakta hoon main khoon mein nahaa sakta hoon


Abbas kehte hain


Abbas e jari ka roza Hai ehle aza ka kaaba
Ek roz Rehan o Sarwar Humne bhi yeh manzar dekha 
Kehta hai koi darya par sab jaayen pyaas bujhaakar
 
Abbas Kehte hain