Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Sunday, June 29, 2025

momino haidare Qarrar ka matam kar lo

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ momino haidare Qarrar ka matam kar lo ๐Ÿ•Š️

ha mohammad ke alamdar ka matam kar lo



momino haidare Qarrar ka matam kar lo


khak udao ke ali shere khuda mare gaye

bazuye ahmade mukhtar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo


jo ki pancho me bhi hain barah imamo me bhi hain

saare nabiyo ke madadgar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo


milke jibreel ke ustad ka pursa de do

sahibe duldulo talwar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo


apne qatil ko diya jisne ke jame sheeri

kosari jaam ke mukhtar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo


jiska saani koi khalik ne banaya hi nahi

tum khuda ke usi shahkar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo


Qatl koofe me hua fatahe khaibar Haidar

deen ke pahale alamdar ka matam kar lo


momino haidare Qarrar ka matam kar lo



jiska islam ki buniyad me shamil hai lahu
tum usi deen ke meyaar ka matam kar lo

momino haidare Qarrar ka matam kar lo