๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ lo ho gayi rihayi lo Qafela chala ๐️
tab marqade sakina pe sajjad ne kaha
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
baba tumhara aaya baba tumhara aaya gaya waqt neend ka
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
seene pe sone wali mitti pe so gayi
baba ko rote rote khamosh ho gayi
ro ro ke ma ne qabre sakina pe di sada
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
bibi karo salam adab ka muqam jai
Bibi tere sarhane Shahe tashna kaam jai
ai Jan jaldi badlo ye kurta fata hua
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
baba ko dhondti thi sakina utho utho
raton ko jagti thi sakina utho utho
lo aa gaye hai baba ai laal jaag ja
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
baba ke paas sona na sona zameen par
rakkho labo ko lab par jabi ko jabeen par
aada ki ghudkiyon ka zamana guzar gaya
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
paigam roz deti thi ammu ke naam tum
roti thi yaad karke unhe subho shaam tum
jago ke ja rahe hain jahan sote hai chacha
jaag sakina jaag baba ka sar aaya
kis tarah soyi Bali sakina na pochiye
ranjo alam se fat,ta hai seena na pochiye
jagi na fir kabhi wo bahut ma ne di sada
jaag sakina jaag baba ka sar aaya