๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ghar ja ke karu kya ghar ja ke karu kya ๐️
ghar wale to sab wo gaye jangal ko basa kar
bin bhai ke jo suye watan jayegi zainab mar jayegi zainab
muh ahle watan ko bhala dikhlayegi kyunkar
tum jao mujhe poochy jo kahna ki mai wari wo dard ki maari
aayi na watan rah gayi karbal me ye kahkar
bin bhai ke hargiz na watan jaungi beta fat,ta hai kaleja
har simt nazar aayenge virani ke manzar
saqqaye sakina mery bhai ka dulara amma ka tha pyara
sota hai labe nahr wo shano ko katakar
bin bhai ke ye zindgi hargiz na kategi marqad pe rahungi
taaroof kashi karti rahungi yaha rah kar
ma chhod de is ban me ise kaise akela kahti hai ye laila
yaha sota hai at,tharah baras ka mera Akbar
mujh gam zada madar ko na rurbat se chhudao tum jate ho jao
dar jaayega tanhayi me mera ali asgar
baithungi na mai saye me chhodungi na turbat aa jaye qayamat
ye kahti hai kokh ujdi hui banuye muztar
sar peet ke kahti thi yunhi zahra ki dukh