Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Sunday, June 29, 2025

abbas aa jao bhai akela hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ maktal me pahunche jab shahe wala ๐Ÿ•Š️

laashe jawan aur khaimo ko dekha
dariya ko dekha fir ye pukara
ab ye salame aakhir hai mera



abbas aa jao bhai akela hai

tanha musafir ko lakho ne ghera hai


tum ne na dekhi gurbat hamari

zainab thi layee meri sawari

rukhsat ka meri manzar ajab tha

seene se lag jao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai


jab se ho bichade Abbas ham se

ahale haram hai lipte alam se

kaise jiyegi bali sakina 

kya hoga batlao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai


laahkar kahan ka jab tum nahi ho

aada to khush hai jab tum nahi ho

kitna akela kitna hun tanha

seene se lag jao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai


din bhar uthaye kitne janze

ab kon hai jo dega dilase

hote agar tum dete dilasa

aao chale aao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai


mujh par barste ye sang dekho

bekas ki tanha ki jang  dekho

dekho na toote nana se wada

himmat badha jao bhai akela hai 


abbas aa jao bhai akela hai


jab shimr khanjar ko ferta tha

qatil ne shah se khud ye suna tha

pyasa gala us dam ye pukara

surat dikha jao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai



sar shah ka aaya noke sina par
aayi sada ye rehano sarwer
besar pada hai bhai ka laasha
ab to chale aao bhai akela hai


abbas aa jao bhai akela hai