......
......
हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
beridaa shaam ki galiyon se guzar zainab ka
pushte aabid pe hai tahreer safar zainab ka
gir pada khaak pe abbas ka sar maqtal me
nok e neza se na dekha gaya sar zainab ka
khoone shabbir ki har boond ka maqrooz bashar
khoone shabbir hai maqrooz magar zainab ka
ye alag baat hai mahfooz raha deen e rasool
ye alag baat hai loota gaya ghar zainab ka
laashe Akbar pe hussain ibne ali kahte the
kisne chalni kiya barchi se jigar zainab ka
noke neza pe bhi rota raha shabbir ka sar
kaat ta jata tha manzar ye jigar zainab ka
har sahar zulm naya aur nayi mushkil har shaam
dard badhta raha har shaam o sahar zainab ka
haye bazaar me abid ko masyab wo mile
ho gaya budha jawaani me pisar zainab ka
ek rassi me bandhe dono gale khinchte the
hai udhar baali sakina ka idhar zainab κa
ai khuda sakht musibat ki ghari mein hai dua
kash imdad ko aa jaya padar zainab ka
kisko awaaz bhala degi bulayegi kise
ho chuka qatal har ek noor e nazar zainab ka
arsalan azmi sab khaak huwe shimr o yazeed
ab bhi darbaar mei baaqi hai asar zainab